pari hai kathin ati naval Kisori ju kaun,
chhin-chhin nai chabi kaha lau chhipavhin |
joi ang pritam ki deethi sao paras hot,
Niraj se nainna nir bhari-bhari avhin ||
‘hit dhruv’ adhik vivas bhay jat piy,
tahi het sukumari jatan banavhin |
aur ang rakhe pat bhushanni mein durai,
lochan chapal chal kahe mein na avhin || 55 ||
परी है कठिन अति नवल किसोरी जू कौं,
छिन-छिन नई छबि कहाँ लौ छिपावहीं।
जोई अंग प्रीतम की दीठि सौं परस होत,
नीरज से नैंना नीर भरि-भरि आवहीं॥
‘हित ध्रुव’ अधिक विवस भये जात पिय,
ताही हेत सुकुमारी जतन बनावहीं।
और अंग राखे पट भूषननि में दुराइ,
लोचन चपल चल कहे में न आवहीं॥५५॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
ang-pratyagyon se pratikshan prasphutit hone wali nav-nav chabi-prabha ko chhipane mein Priya apne aapko purntya asmarth pati hain. Yadakda jab priyatam ki drishti unke kisi suanga ko chu leti hai, to unke kamal jaise netr barambar jalpurit ho uthte hain. Shri dhuvdas ji kahte hain ki priyatam ki is premwivashta ko dekh kar komlangi Priya satat prayatnsil rahti hain ki unke apne anko ka sahaj rup priyatam na dekh payen, isliye ve apne angon ko vastrabhushnon se achchhadit to kar leti hain kintu unke chanchal netr niyantran mein nahi rah pate