pyari ju ki sari ati pyari lagai pritam kaun,
saundhe bheenji angiya surang ur dhari hai |
naval rangeeleeju ke Bhushan bihari lal,
pahirat badhi phool jati na sambhari hai ||
joi kachu Priyaju ke angni paras hot,
soi pran jat hot aisi pyari pyari hai |
“hitadhruv” prem baat kaisehun na kahi jat,
janai soi jehi sir mohni si dari hai || 174 ||
प्यारी जू की सारी अति प्यारी लागै प्रीतम कौं,
सौंधे भींजी अँगिया सुरंग उर धारी है।
नवल रँगीलीजू के भूषन बिहारी लाल,
पहिरत बाढ़ी फूल जाति न सँभारी है॥
जोइ कछु प्रियाजू के अंगनि परस होत,
सोई प्रान जात होत ऐसी प्यारी प्यारी है।
“हितध्रुव” प्रेम बात कैसेहूँ न कही जात,
जानै सोई जेहि सिर मोहनी सी डारी है॥१७४॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
shri Priya ka neelambar priyatam ko atyant priy lagta hai, is hetu unhone sugandha-sinchit kanchuki evam Priya ka neelambar dharan kar rakha hai. ' naval rangili ju ke abhushan ko dharan karte samay Vihari lal ke hriday mein itni prasannata hoti hai ki unse sambhali nahi jati. Pran-pyari Priya unhen itni adhik priy hain ki unke shri angan se jo bhi vastu sparsh prapt kar leti hai, wah priyatam ko pran sadrish priy ho jati hai. Shri hit dhruvdas ji kahte hain ki prem ki baat vani dwara to kahi nahi ja sakti use to wahi janta hai, jiske sir par prem ki Mohini chhaa gayi ho