khelt raas vinod bihar, nisa ujiyari maha sukh dainni |
sakheenu ke mandal madhya bane dou, gavat sundar sarang nainni ||
rag jamyau bajain Bhushan angni, chandhi bhuli hai apni gainni |
sakhi rahin bheenji tahan rang mein ‘dhruv’, rainni bhai manau prem ki rainni || 122 ||
खेलत रास विनोद बिहार, निसा उजियारी महा सुख दैंनी।
सखीनु के मंडल मध्य बने दोउ, गावत सुंदर सारँग नैंनी॥
राग जम्यौ बजैं भूषन अंगनि, चंदहि भूली है आपनी गैंनी।
सखी रहीं भींजि तहाँ रँग में ‘ध्रुव’, रैंनि भई मनौं प्रेम की रैंनी॥१२२॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
mahasukhdatri shubhra chandrikamyi ratri mein raas-vihar ki vinodamyi krida karte hue yugal apni nitya sachariyo ke mandal ke madhya mein shobhit hain. Mrig-shavak nayni Priya evam kamal-lochan priyatam ganaprayan hain. Yugal ke rag-gaan ne sab ko stambhit kar diya hai. Gaan evam nritya ke karan unke shri angin ke alankar mukhrit hain. Akash mein raka-shashi path-vithkit hai. Shri dhruvdas ji kahte hain ki aaj ki shrad-ratri prem ki rainni (rang gholne ka patr) ban gayi hai aur sabko prem ke rang se rang rahi hai