manigan jut jhalkat rahayn, pad ambuj sukh-dainn |
sahaj subhag rasnidhi saras, pritam-chit ali ainn || 37 ||
मनिगन जुत झलकत रहैं, पद अंबुज सुख-दैंन।
सहज सुभग रसनिधि सरस, प्रीतम-चित अलि ऐंन॥३७॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
shri shyama ke sukhdayak charan-kamal manimay nupuron se alankrit hokar apni prabha ka prakash karte rahte hain. Ve shri charan swabhavic sundar, ras ke bhandar evam saras hain tatha priyatam ke chitt rupi bhramar ke liye nitya vishram sthal hain