chitvani sao chit rangi rahyou, musakni ras bas main |
ang-ang deep anang manau, parat patang ju nain || 20 ||
चितवनि सौं चित रँगि रह्यौ, मुसकनि रस बस मैंन।
अँग-अँग दीप अनंग मनौं, परत पतंग जु नैंन॥२०॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
shri Priya ju ki chitvan-chavi mein Shrilal ka chitt rang gaya hai. Unka Madan rupi man, Priya ki mand-madhur smit ke vashbhut ho gaya hai. Shri Priya ka pratyek ang ananga-deep ke sadrish hai, jis par priyatam ke shalabh rupi netr nitya utsarga hote rahte hain