adbhut rup vilas sukh, chitavat bhule ang |
sahaj sindhu sukh mein pare, nakh-Sikh prem abhang || 23 ||
अद्भुत रूप विलास सुख, चितवत भूले अंग।
सहज सिंधु सुख में परे, नख-सिख प्रेम अभंग॥२३॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
is adbhut sukh-vilas ka darshan kar ke priyatam Shrilal-apna dehanusandhan kho baithe hain evam sukh ke agadh sindhu mein nimgn ho kar, apad mastak ve prem-ras mein purit ho gaye hain