॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Bayalis Leela — chhnd 21.59

Premavali

kunj-kunj prati jhalamlai, asan sej sudes |
sahaj saunj chhin-chhin nai, kahi na sakat chabi les || 59 ||
कुंज-कुंज प्रति झलमलै, आसन सेज सुदेस।
सहज सौंज छिन-छिन नई, कहि न सकत छबि लेस॥५९॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)

shri dhuvdas ji kahte hain ki shri Vrindavan ki pratyek kunj ke abhyantar bhag mein param shobhamay asan evam shayyaen susajit hain tatha pratikshan nitya-nutan seva-samgri bhi upasthit hai, jiski shobha ka lesh varnan karne mein main asmarth hoon