adbhut prem sakheeni kau, bimal akhandit dhar |
rasik kunwar dou ladile, kari rakhe ur-har || 96 ||
अद्भुत प्रेम सखीनि कौ, बिमल अखंडित धार।
रसिक कुँवर दोउ लाड़िले, करि राखे उर-हार॥९६॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
shri shyamashyam yugal ke prati tatsukh prem mein rangi, prem pagi sakhiya yugal ki sahaj rup-maghuri ka apne netr-chashkon mein bhar-bhar kar nirantar pan karti rahti hain ॥. 95 ॥ sakhiyon ke adbhut prem ki dhara akhandit evam ujjwal hai , jinhone rasik yugal Shri ladili-lal kunwar ko apna hridayhar bana rakha hai