॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Bayalis Leela — chhnd 21.119

Premavali

bhramat sakhi bhanvri tahan, piwat rup parag |
palu-palu prati badhat rahe, madik nav anurag || 119 ||
भ्रमत सखी भँवरी तहाँ, पीवत रूप पराग।
पलु-पलु प्रति बाढ़त रहै, मादिक नव अनुराग॥११९॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)

ladili Priya ek sundar prem ka pushp hain, jo ati sundar, suranga evam suvasit hai. Aasakt madhup lal ka yahi prem-pushp ekmatra jeevan hai, ve nirantar Priya-premrupi pushp ki sannidhi hi chahte hain. 116 ॥ ati komlangi ladili shri Priya jaha kahin apne charan sthaapit karti hain , waha rasik lal apne netr-kamal dalon ka asan bichhate hain. 117 ॥ vipinraj shri Vrindavan prem ras paripurit amit agadh ras ka sarovar hai, jismen kamal-kamlini rup rasik yugal nitya viksit hain. 118 ॥ kamal-kamlini rupi rasik yugal ke rup-parag ka pan karti hui bhramreevat‌ sakhiya unke hi charon or mandrati rahti hain. Unka navanurag pratiphal vridhi ko prapt hota rahta hai