Vrindavan-ras sabkau sara | nit sarvopri jugal-bihara || 2 ||
वृंदावन-रस सबकौ सारा। नित सर्वोपरि जुगल-बिहारा॥२॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
['Vrindavan-ras' ke naam se abhisangyat ras goswami shri hit Harivansh ji ki ek anupam den hai, jiska swaroop vraj ke avtarwad evam swaki-yattwa parkeeyattwa, virah milan aadi se atit hai. Yah nitya vihar keli nitya-nibhrit nikunjamay Vrindavan mein Priya , priyatam , sahachari evam Vrindavan in char rupon mein anadi-anant rup se vidyman hai. ] yah Vrindavan-ras prem ki samasth upasnaon ka sar hai, jo nitya hai evam shyama-Shyam ke vihar ka sarvopri swaroop hain