Vrindavan chabi kaha kahun, kaisehun kahat banain na |
nain ke rasna nahi, rasna ke nahin nain || 15 ||
वृंदावन छबि कहा कहौं, कैसेहुँ कहत बनैं न।
नैंननिं के रसना नहीं, रसना के नहिं नैंन॥१५॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
tatparya yah hai ki shri Vrindavan sukho ki parakashtha evam ujjwal prem ka nij dham hai, jaha shat-shat premkam ki chaturangini sena nitya seva-paraayan rahti hai. !14 ॥ shri dhruvdas ji kahte hain ki brindavan ki avarnaneey chavi ka kya varnan karu ? Kyonki wah kisi bhi prakaar se kahne mein nahi aati. Mere netron ne us chavi ko dekha to hai par netron ke paas varnan karne ke liye jihla nahi hai aur jis jihya ke paas varnan karne ki kshamta hai us abhagi ke paas netr nahi hain