prathamhin nari dekhikain, hiy par kar dharyau ani |
raumm-raumm anand bhayau, paras hot hi pani || 8 ||
प्रथमहिं नारी देखिकैं, हिय पर कर धर्यौ आनि।
रौंम-रौंम आनँद भयौ, परस होत ही पानि॥८॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
shri Priya ne priyatam ke kar-kamal ko apne kar-kamlo mein dharan karke karanguliyon ka sukhad sparsh pradan karte hue sarvpratham unka nadi-parikshan kiya. Tadupranta unke vakshasthal par apna susheetal kar-kamal sthaapit karke mano hriday-gati evam sthiti ka bhi parikshan kiya. Parikshan ke vyaaj se vastut amritmay sparsh diya. Phalat pran-Priya ka rasad sparsh prapt karke priyatam ka rom-rom anandatirek se bhar gaya