prabal chaump badhi duhun mahin | ras samtul koi ghati nahin || 36 ||
प्रबल चौंप बाढ़ी दुहुँ माहीं। रस समतूल कोऊ घटि नाहीं॥३६॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
jab nav-bala ne priyatam ko apne adhar-ras se sinchit kiya, tab priyatam ka man aise prafulit ho utha, mano tamal-taru Madan ras se sinchit hua ho ॥ 34. ] tadupranta sukumar yugal-keli ke ras mein bheenj gaye. Kshan-kshan prati unke hridyon mein nav-nav bhavon ki srishti hone lagi ॥ 35. Doha rati-keli-vistar chaupai donon mein prem sangram ki prabal utkantha badh chali, kyonki donon hi ras samtulya naval nayak-nayika hain