koti kam sukh hot hain, hansi chitavat piy or |
bhuli jat tan ki dasa, parse prem-jhakor || 66 ||
कोटि काम सुख होत हैं, हँसि चितवत पिय ओर।
भूलि जात तन की दसा, परसे प्रेम-झकोर॥६६॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
he sakhi ! Priyatam kahte hain ki mere liye wahin kshan , wahi pal dhanya hai jab kuwari-kishori prasann drishti se meri or dekhti hain ॥. 65 ॥ prem ke jhule mein jhulne wale priyatam ko koti-koti kamnao ka sukhaswarup phal us samay prapt hua pratit hota hai , jab pran-priyatma kishori unki or muskurati huin drishtipat karti hain aur jab ve us sukhanubhuti mein apna dehanusandhan kho baithe hain