samujhi sneh nain bhari aaye | manau kanj anand jal chhaye || 115 ||
समुझि सनेह नैंन भरि आये। मनौ कंज आनँद जल छाये॥११५॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
apne prati shri Priya ke gambheer prem ka anubhav karke priyatam ke netr chhal-chhala uthe. Us samay ashru-kan baraste netron ki chabi aisi lagi,mano arun kamlo par anand rupi jal chhaa gaya ho