kabuhu ladili hoti piy, lal Priya hvai jat |
nahin janat yah prem ras, nisi-din kithi vihat || 7 ||
कबहुँ लाड़िली होति पिय, लाल प्रिया ह्वै जात।
नहिं जानत यह प्रेम रस, निसि-दिन कितहि विहात॥७॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
inki rasaswadan-riti badi vichitra hai. Kabhi ladili Priya, priyatam ke rup mein tallin hokar priyatam ban jati hain aur kabhi rup-tanmay hue priyatam, Priya ban jaate hain. Prem-ras ke vilas mein parivartit hote rahne wale rasik yugal yah bhi nahi jante hain ki din-raat ka avagmanmay yah kal-vihaar kab aur kaise hota hai