॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Bayalis Leela — chhnd 28.31

rang-vihar

urajni ki chabi kaha kahun, taisi jhalakni hiya |
bhulat nahin man ke karni, dhare rahat hain peey || 31 ||
उरजनि की छबि कहा कहौं, तैसी झलकनि हीय।
भूलत नहिं मन के करनि, धरे रहत हैं पीय॥३१॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)

naval kishori ke sundar chibuk ki upma mere hriday mein aa sakna asambhav hai. Un ka shobha-nidhi chibuk adbhut hai. Wah aisa pratit hota hai, mano shri lal ji ke man ke liye heerak-mani ki khan hai. Madhur muskan anand ka viksit pushp hai evam unki ras-bhari chitvan sukh ki parmavdhi hai. Unki mridul sudhar greeva par dulri motiyon ki potachchhavi adbhut prakaar se jhalak rahi hai ॥ 29-30 ॥. Priya ki yugal vakshojachchhavi avarnaneey hai, aisi hi avarnaneey unki hriday desh ki vistrit chavi chhata hai, jo priyatam ko kabhi vismrit nahi hoti, jin par ve apne man ke kararwinda rakhe hi rahte hain