puni-puni pyari pyar sao, ranvki liye ur lai |
dekht mukh hiy dukh bhayau, nain jal bhare aai || 41 ||
पुनि-पुनि प्यारी प्यार सौं, रँवकि लिये उर लाइ।
देखत मुख हिय दुख भयौ, नैंननिं जल भरे आइ॥४१॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
tabhi pran-Priya atyant pyar purvak lapak kar priyatam ko apne hriday se laga leti hain aur barambar unhen alingan dan karti hain. Priyatam ke virah-vyathit mukh ka avlokan karke karunamyi kishori ka hriday dukh se bhar jaata hai evam netr ashru-purit ho jaate hain