rup nadi kariya Madan, naval neh ki nav |
chadhe phirat dou ladile, chhin-chhin upjat chav || 1 ||
रूप नदी करिया मदन, नवल नेह की नाव।
चढ़े फिरत दोउ लाड़िले, छिन-छिन उपजत चाव॥१॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
nauka vihar doha [ras vihar' namak is laghukay granth mein shri dharuvdas ji ne yugal shri shyama-Shyam ke jal-vihar ka varnan kiya hai. Ismen vivid naukaon mein chadkar sakhi-sachariyo ke saath shri yamuna mein jal-krida ka manoram varnan prastut hai. Do manjili, timanjili naukaon ka suramya nirman, sakhi sachariyo ki rag-rangamyi seva evam yugal ke parasparik prem vilas ka varnan karte hue shri dhruvdas ji kahte hain ki-] bhavatmak drishti se yugal ka rup hi rasamyi sarita hai aur yugal ka nitya-nutan prem hi us rup jal mein tairne wali nauka hai. Is nauka ka kaivarttak (nauka ko khenevala) sakshat prem rupi kandarpa hai. Rasik ladili-lal, jinke hriday mein pratikshan naye-naye premollas pragat hote rahte hain , is nauka par virajman hokar rup ki nadi mein vihar karte hain