radan chinh rati ke surang, sobhit subhag kapol |
manhun kamal ke dalni par, jhalkat ratan amol || 17 ||
रदन चिन्ह रति के सुरँग, सोभित सुभग कपोल।
मनहुँ कमल के दलनि पर, झलकत रतन अमोल॥१७॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
unke anjan-ranjit chapal naynon ki chabi ki uthti hui jhakoron ka ghaneebhut megh-varshan jaisa amit rasdayak sukh, mayur-mayuri rupi rasik shreshthon ke atirikt anya kaun samjh sakta hai ॥. 16 ॥ rasik yugal ke sundar kapolon par prem-rati ke surakshit radan-chihna shobhit hain , jinke darshan se aisa pratit hota hain, mano kamal ke arunim dalon par amulya ratna jhalak rahe hon