॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Bayalis Leela — chhnd 32.31

anand-dasha vinod

nirakhi-nirakhi aise sukhhin, sakhi sabai bali jat |
tinhun tain phuli adhik, anand ur na samat || 31 ||
निरखि-निरखि ऐसे सुखहिं, सखी सबै बलि जात।
तिनहूँ तैं फूली अधिक, आनंद उर न समात॥३१॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)

nitya-vihar ki sabhi sahachriyan yugal rasik ke aise anupam sukh ko barambar avlokan karke balihar hoti rahti hain. Ve tatsukhamyi sakhiya yugal rasik ki utphullata se bhi adhikadhik utphulla bani rahti hain. Unke hriday mein anand ka pravah samata hi nahi, apitu chhalakne lagta hai