pyari bhaunhni chitai rahe, param rasik sirmaur |
chalat bhanvti ruchi liyain, ruchat nahi kachu aur || 33 ||
प्यारी भौंहनि चितै रहे, परम रसिक सिरमौर।
चलत भाँवती रुचि लियैं, रुचत नहीं कछु और॥३३॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
un leela-vilason mein Priya ka apna koi sukh nahi hota. Jab param rasik shiromani Shrilal ji pran-Priya ki bhrikutiyon ki or is lalsa se niharte hain ki mujhe Priya ki prasannata evam ruchi prapt ho, tab priyatam ki ruchi evam lalsa ki sada-sarvda gyata Priya, priyatam ki ruchi ke anusaar hi apna samasth aacharan bana leti hain aur unhen tab priyatam ki ruchi ke atirikt anya sab vismrit ho jaata hai