ang-ang chavi madhuri, nirakhat piy na aghai |
dekhi lal ke lalachhin, lalach rahi lalchai || 39 ||
अंग-अंग छवि माधुरी, निरखत पिय न अघाइ।
देखि लाल के लालचहिं, लालच रहि ललचाइ॥३९॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
unka man sashankit ho sochta rah jaata hai ki kahin Priya apni bhuja greeva par se hata na len. Ve hilte tak nahi. Priya ke ang-pratyagyon ki chavi-madhuri ka avlokan karte hue kabhi aghate nahi hain. Shrilal ki is lalchan ka avlokan karke murttiman lalach bhi lalayit ho rahta hai