budyau man ras prem mein, dhiraj dhari sakain nahin |
nain-kamal haruve hute, tirat rup-jal mahin || 47 ||
बूड़्यौ मन रस प्रेम में, धीरज धरि सकैं नाहिं।
नैंन-कमल हरुवे हुते, तिरत रूप-जल माहिं॥४७॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
rasik yugal ke man prem ke ras mein magn ho chuke hain ataev ve adhir hain, dhairya dharan kar sakna unke liye asambhav hai. Prem ke bhaar se unka sab kuch bharanwit hokar prem ke mahasmudra mein doob chuka hai. Yadi kuch halka hai to unke netr-kamal , jo sadaiv yugal rup ke jal mein tairte rahte hain