uraj kalas kundan bane, manou mangal saj |
kuwari rup ke nagar kau, piy payau sukh-raj || 12 ||
उरज कलस कुंदन बने, मानौं मंगल साज।
कुँवरि रूप के नगर कौ, पिय पायौ सुख-राज॥१२॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
[Shrilal ji ke kar-kamlo dwara Priya ke urojon ke achchhadan ka punah ek rupak prastut karte hue shri dhruvdas ji kahte hain ki] naval-kishori ke kanchan-kalash rupi urojon par Shrilal ka karachchhadan hi “anand mangal ki saj-sajja hai, jise dekhkar aisa pratit hota hai, mano naval-kishori Priya ka rup 'anand' rupi nagar hai, jiska sukhmay rajyadhikar priyatam Shrilal ji ne prapt kar liya hai