megh mahal parda phunhi, rajat kunj-nikunj |
baithe neh ki sej par, karat keli sukh punj || 33 ||
मेघ महल परदा फुँही, राजत कुंज-निकुंज।
बैठे नेह की सेज पर, करत केलि सुख पुंज॥३३॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
vivid prakaar ki kunj-nikunjon se shobhayman Vrindavan ke akash ko achchhadit kiye hue ras-vrshti karne wali megh-mala rasik yugal ka raj-prasad(mahal) hai, jisse jharti hui ras ki phuharen hi antarpat arthat mahal ke dwaar par latke hue parde hain. Mahal ke abhyantar bhag mein bichhi hui prem-shayya par virajit yugal sukhpunja-keli ka vistar karte rahte hain