Priya-prem ke sindhu mein, pairat naval kishor |
rahe hari yaten tahan, pavat nahin kahun or || 55 ||
प्रिया-प्रेम के सिंधु में, पैरत नवल किसोर।
रहे हारि यातें तहाँ, पावत नहिं कहुँ ओर॥५५॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
Priya ka prem ek apaar aur athah samudra hai, jismen naval-kishor priyatam tairte rahte hain kintu us prem samudra ka na to koi or-chhaur pate hain aur na hi uski gambheerta ki thaah le pate hain. Isliye sada apne aapko parajit anubhav karte rahte hain