॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Bayalis Leela — chhnd 38.11

braj-leela

chavi-tarang kachu kahe na jahin | Madan koti luthain charanni chhanhin || 11 ||
छवि-तरंग कछु कहे न जाहीं। मदन कोटि लुठैं चरननि छाँहीं॥११॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)

[shri nandaray ji vraj ke raja the, unka pratham nivasasthan tha mahavan. Pashchat‌ ve mahavan chhod kar Vrindavan aa base. Pauranik mat se Vrindavan ki sima panchayojan arthat‌ bees kos ke vistar mein hai. Is nyay se shri nandaganv shri nandaray ki dviti rajdhani Vrindavan ke seemantargat hai, aisa manna chahiye. ] astu, anand-kanda nanda-nandan bal, pauganda evam kaumar ayu ko vyatit karke nav kishoravastha ko prapt hue. Unka rup atyant man-mohak tha. Pratyek ang sundar evam atishay suhavna tha. 110 ॥ unki kishoravastha ki chabi-tarangon ka varnan karte nahi banta. Soundarya ki charm sima shri nandalal ke charnon par koti-koti Kamdev vilunthit hone lage