॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Bayalis Leela — chhnd 5.16

khyal hullas

anat atak nahinn bhali, yah samujhai sab koi |
lahai na man kaun jo ruchai, phiri phiri dukh hi hoi || 16 ||
अनत अटक नाहिंन भली, यह समुझै सब कोइ।
लहै न मन कौं जो रुचै, फिरि फिरि दुख ही होइ॥१६॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)

sansaar mein jaha-jaha man aasakt hota hai, wahin-wahin dukh ka mul hai aur sarwadhik khed ka vishay to yah hai ki jaha sarvda sukh hi sukh hai , us premras madhuri mein agyani atakta nahi 15 ॥ “ udbodhan doha yah baat sarv-vidit hai ki bhagwat‌ prem ke atirikt anyatra kahin chitt lagana hitkar nahi hai aur anyatra chitt lagane par bhi uska ruchikar vishay use aprapta hi rahta hai, phalat barambar dukh hi deta hai