bhakti-chhattar jihi sir phirai, takau raj praman |
karm-dharm kinkar bhay, sevat rahayn sujan || 31 ||
भक्ति-छत्र जिहि सिर फिरै, ताकौ राज प्रमान।
कर्म-धर्म किंकर भये, सेवत रहैं सुजान॥३१॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
kavitta , doha dan, dharm shreyaskar hain, is vishvas se koi Sumeru tully swarn-rashi ka dan kare, mani-manik, ratnnon ke dan, gaj-dan, annadan aur bhumidan tatha muktarashi se anek tuladan kare, prayag jaise tirth mein snaan aur kashi mein jakar grahan ke avsar par chitt-shudhi ke nimit bahut dan kare, shayyadan, kanyadan bhi kare evam kurukshetr mein jakar shubh parv par go-dan kare, to bhi in sare danon ke pashchat bhi wah sarvatha paap-mukt nahi ho pata. Shri hit bhruvdas ji kahte hain ki shri Krishna-kesri ka naam ek bar lene matra se trailokya ke sare papi ek kshan mein sansari aavagaman se chhut kar param-gati ke adhikari ho jaate hain. 30 ॥ jiske sir par bhakti rupi chhattar tana ho, wahi sab dharmo ka raja hai, aisa manna chahiye. Karm-dharmadi sabhi us bhakti rupi rajadhiraj ke das hain, jo apne samrat ki seva kiya karte hain