॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Bayalis Leela — chhnd 5.36

khyal hullas

bahut bhanti lai chaturai, karau bhajan ki baat |
ranch prem ki chhata binu, sab niras hvai jat || 36 ||
बहुत भाँति लै चतुरई, करौ भजन की बात।
रंच प्रेम की छटा बिनु, सब नीरस ह्वै जात॥३६॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)

gyan-bhajan (adwaitwad) ki chahe jitni hi baten karo, prem ke bina sab niras hain ; jaise bahut se prajvalit deepak bhi ekatra ho kar prakashman surya ki samta nahi kar sakte. 135 ॥ koi bhi buddhivadi yuktiyon ke dwara gyan-karmadik pradhan bhajan ki shreshtha ka pratipadan kyon na kare, kintu prem ki kinchit‌ chhata ke abhav mein ve sari baten nihsar hain