lal vivas sahachri sabai, mori mrigi bihang |
gavti ras mein nagri, nav-nav tan tarang ||
nav-nav tan tarang, sapt sur sao man harhi |
aisi ko sakhi ahi, sunat jo dhiraj dharhi ||
nav-nav gun ki seenv sab, ati praveen var bal |
nagar-kul-Mani taisei, srota sudanr lal || 34 ||
लाल विवस सहचरि सबै, मोरी मृगी बिहंग।
गावति रस में नागरी, नव-नव तान तरंग॥
नव-नव तान तरंग, सप्त सुर सौं मन हरही।
ऐसी को सखि आहि, सुनत जो धीरज धरही॥
नव-नव गुन की सींव सब, अति प्रवीन वर बाल।
नागर-कुल-मनि तैसेई, स्रोता सुदंर लाल॥३४॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
Shri Priya dwara gaye gaye ragon ki anuragpurna sumdhur dhvani ka shravan karke venusamrat rasik lal ji bhi mohit ho gaye. Unke hriday mein naval bala ke sangit ka marm-sparshi baan bindh gaya, jisse he sakhi ! Ve dhairya dharan karne mein asmarth ho gaye. 133 ॥ shri lal to vivash hue hi, sabhi sahachriyan bhi vivash ho gain. Yahan tak ki rasamyi nagri Priya ki nayi-nayi tan-tarangon se shri van ki mayuri, mrigi evam anya pakshi-gan bhi ras-vivash ho gaye. In nayi-nayi tan-tarangon ke sapt-swaron ne jad-chetan sabhi ka man haran kar liya. He sakhi ! Tab aisa kaun hai, jo dhairya-dharan ` purvak apne aap ko sambhale rakhe. Shri kishori ju nitya-nutan gunamyi kalaon ki charm-sima hain. Apne parikar ki sachariyo mein atishay nipun hain aur unke anupam sangeet ke shrota param sundar shri lal ji bhi sangeet-nipun samaj ke muktamni hain