mukat kahun vansi kahun, Bhushan kahun pat-pit |
main-sainn liye gheri kai, taten bhay ati bheet || 13 ||
मुकट कहूँ वंसी कहूँ, भूषन कहूँ पट-पीत।
मैंन-सैंन लिये घेरि कै, तातें भये अति भीत॥१३॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
ve prithvi par vilunthit hote hain, unke ashru-pravah ki apaar sarita vridhi ko prapt ho rahi hai. Ve keval ek prem ki hi dor pakde hue hain. Unke jeevan ka adhar matra 'Radha' naam hi shesh hai. 12 ॥ unka tan evam man ast-vyast hai, kahin mukut, kahin Vanshi, kahin abhushan evam kahin unke pit-paridhan bikhre pare hain. Aisa lagta hai sano Madan ki sena ne unhen charon or se gher liya hai, jisse ve atyant bhayabhit ho rahe hain