jehri payal ati bani, bichhiya anwat neek |
jhalki rahi nakh Chandrika, hvai gaye bidhu-sat pheek || 13 ||
जेहरि पायल अति बनी, बिछिया अनवट नीक।
झलकि रही नख चंद्रिका, ह्वै गये बिधु-सत फीक॥१३॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
isi prakaar charnon mein dharan ki hui jehri, payal, bichhiyan aur suhavne anwat-ye sabhi to adhikadhik mulyavan hain evam charnon ke prakashman nakhamni jinke samaksh shat-shat chandrama bhi kantiheen se lagte hain