bichalyau phirai bhali nahi, prem gali chhuti jai |
rahe ek hi thaur lagi, jugal charan chit lai || 44 ||
बिचल्यौ फिरै भली नहीं, प्रेम गली छुटि जाइ।
रहै एक ही ठौर लगि, जुगल चरन चित लाइ॥४४॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
gyan-karm pradhan achar-dharmo mein bhatakna shreyaskar nahi hai; kyonki is bhatkan se upasak prem-path se chyut ho jaata hai; ataev ekmatra shri yugal charnon mein hi chitt ko sthir kar dena chahiye