dheer gambheer samudra sam, seel subhav anup |
sab ang sundar hansat mukh, adbhut sukhad sarup || 7 ||
धीर गँभीर समुद्र सम, सील सुभाव अनूप।
सब अँग सुंदर हँसत मुख, अद्भुत सुखद सरूप॥७॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
1. Goswami shri vanchandra ji apne pita shri hit Harivansh ji ke nitya leela-leen hone ke pashchat shri vanmaleedas naam se shri Radhavallabh-sampraday ke acharya-pith ke adhikari hue. Sampraday mein inhe Vrindavan-dham ka avatar-swaroop mana jaata hai. Janm samwat 1585 vi. Aur nikunjagman 1665 vi. 2,3,4. Shri krishnachandra, shri gopeenath evam shri mohanchandra-tino hi go. Shri hit Harivansh ke putr hain. Puran-kalin bhakt doha madhya-kalin bhakt doha shri sundarwar anupam shil, swabhav yukt evam samudravat dheer, veer, gambheer aur sabhi angon mein sundar hain. Unke mukh-mandal par madhur muskan khelti rahti hai