matt bhayau ras rang mein, kari na duji baat |
binu bihar nisu ek ras, aur na kachhu suhat || 40 ||
मत्त भयौ रस रंग में, करी न दूजी बात।
बिनु बिहार निजु एक रस, और न कछू सुहात॥४०॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
rasik santa shri bihareedas ji ne apne acharya Swami shri haridas ji ki ras-pranali ka swabhavic aur ek ras-paddhti se jeevan paryanta nirvah kiya. 139 ॥ 1. Shri vitthal vipul-Swami haridas ji ke pradhan shishya. (dekhiye shri nabha Swami krit Bhaktmal, chhappay sankhya-94) 2. Bihareedas-sakhi bhav ke parmacharya Swami shri haridas ji ke prashishya rasik anannya, nitya-vihar ke param upasak. Aur unhone sansaar ke sabhi logon se apne sare prem sambandha chinn-bhinn kar diye the. Ve Vrindavan ke anand-rang mein matvale se ho gaye the. Siwai Vrindavan anand rang ke unhone dusri charcha tak nahi ki. Unhen nitya-vihar ras ke siwai anya kuch accha hi nahi lagta tha