vansh bina harinam hoon, liyau na jaken tek |
pavai soi vastu kaun, jakain hai vrat ek || 45 ||
वंश बिना हरिनाम हूँ, लियौ न जाकें टेक।
पावै सोई वस्तु कौं, जाकैं है व्रत एक॥४५॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
jinhone 'vansh' rahit 'hari' naam ka bhi ucharan nahi kiya arthat 'Harivansh' shabd ka hi ucharan kiya. Nishchit hai ki anannya evam dridhrivrati hi param-vastu paramatma tattwa ki prapti kar sakta hai, anya nahi