॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Bayalis Leela — chhnd 6.90

bhakt-namavli

nirtati Nupur bandhi kai, gavti lai kartar |
bimal hiyau bhaktani mili, trin sam gani sansaar || 90 ||
निर्तति नूपुर बाँधि कै, गावति लै करतार।
बिमल हियौ भक्तनि मिली, त्रिन सम गनि संसार॥९०॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)

shri Meera ji ne chittaud ka tyag karke shri brindavan ate samay apni nanad uda bai (Lalita) ko bhi saath le liya tha. Shri Vrindavan ane par ve anand magn hokar yugal ras-krida-kshetra shri Vrindavan dham ka varnan karti phirti rahin. 89 ॥ 1. Shri Meera-medta ke raja ratnasinh ki putri, mevad ke rana kul ki kulavdhu vishv vikhyat bhakta evam kaviyitri. (dekhiye-shri nabha Swami krit Bhaktmal, chhappay sankhya 115) shri Meera ji apne charnon mein Nupur bandhkar hathon mein kartal lekar nritya-gaan karke apne priyatam shri Giridhar lal ko rijhati thin. Unhone sansaar evam sansarik logon ko trin ki bhanti tyag diya tha. Ve nirmal evam niskapat hriday se bhakton se milti thin