bhaktani ki namavli, jo suni hai chit lai |
taake bhakti badhai ghni, aru hari hoi sahai || 111 ||
भक्तनि की नामावली, जो सुनि है चित लाइ।
ताके भक्ति बढ़ै घनी, अरु हरि होइ सहाइ॥१११॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
bhaktavatsal shri hari ko to apne yash se bhi adhik apne priy bhakton ke rasmay yash se prem hai, aisa jankar hi maine yah “bhakt-namavli” namak bhakton ki charit-mala ki rachna ki hai. Isliye bhaktajnon ko chahiye ki nischay hi is bhakt-namavli rupi mala ko apna kantha-har banaven. [110 ॥ 1. Shri narayandas-upnam shri nabha ji, Swami agradas ke shishya, Bhaktmal ke rachyita. (dekhiye-shri nabha Swami krit Bhaktmal kavitta sankhya 7, 11, 12, 13) upsanhar doha bhakton ki is namavli ko jo koi chitt lagakar sunega, uski bhakti badhegi aur shri hari uski sab prakaar se sahayata karenge