॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Bayalis Leela — chhnd 7.42

vrahd vaman puran katha

braj mein jo leela charit, bhayau ju bahut prakaar |
sabkau sar bihar hai, rasikni kiyau nirdhar || 42 ||
ब्रज में जो लीला चरित, भयौ जु बहुत प्रकार।
सबकौ सार बिहार है, रसिकनि कियौ निरधार॥४२॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)

1. Pathantar-hiyain Vrindavan nitya-vihar ka sanket doha bhagwan‌ shrikrishna ne uttar diya, arjun ! Sansaar mein mere anant bhakt hain, jinki ganna nahi ki ja sakti, kintu main keval gopiyon ke hriday mein basta hoon aur gopiyan meri pran hain. Isse adhik meri atma bhi mujhe priy nahi hai ॥. 31 ॥ Mathura mandal vaikuntha se bhi adhik shreshth hai aur Mathura mandal se bhi adhik shreshth hai, samasth sukho ka bhandar braj-mandal ॥. 32 ॥ yah vraj-mandal aprakrit evam divya nisarga hai, maya rahit hai. Iska vistar ikkees yojana arthat‌ chaurasi kos hai. Is vraj-mandal mein sagun sakar rup se shrikrishna nitya, nirantar nivas karte hain. Vraj ki dhuli upasak ko vrajwas ki vardan-rupini hai. Yah vraj bhumi va vraj-raj anand kanda nandanandan shrikrishna ko bhi atyant priy hai ॥. 33 ॥ brahmaji ne kaha-he bhrigu ! Upri kathit brajmandal ke madhya mein ghaneebhut ras swaroop shri Vrindavan dham sabke mukut-mani ki bhanti shobhit hai. Koti-koti chandramaon ke prakash ko bhi nirasta karta hua tejomay, sukhmay aur premay shrivindavan dham jajjwalyaman‌ rup se prakashit hai ॥. 34 ॥ jaha ek hi ruchi, ras aur anand rang se ullasit yugal kishor ka nitya vihar sampanna hota hai. Jaha nitya nav kishori ladili Shri ragha ne nitya kishor Shri Lalji ko apna hriday-har bana rakha hai ॥. 35 ॥ rasik yugal-kishor nitya-nirantar prem ke alingan se abaddha aise lagte hain, jaise donon ne donon ke rup ki jajjwalyaman‌ mani mala dharan kar rakhi ho aur usi rup mein latke aur chhake rahte hain. Aghar-sudha-pan hi jinka jeevnadhar hai ॥. 36 ॥ yugal ke ang se ang, man se man aur vishal netron se netr sada mile rahte hain. Mano kishori pyari rup ki lata hai aur Shri Lalji chavi ke tamal vriksh hain evam donon prem se alingit hokar ek ho gaye hain ॥. 37 ॥ dulah mohan lal-Mohini nav varavdhu Shri Radha paraspat rup darshan-pan se hi jivit hain. Inme ek nimesh kal ka bhi virah-viyog evam antaray nahi hota ॥. 38 ॥. 1. Pathantar-ta ras mein latke chhake rahat adhik rassar. Nitya nav navayman‌ kishoravastha ki maha madhur ras madhuri mein nimgn yugal kishaur adbhut pranay-keli ras mein aise dube rahte hain ki unhen ratri-divas ka bhi bodh nahi hota, sada kaalatit vihar mein magn rahte hain ॥. 39 ॥ swaymev nav kishorta-madhuri apne samasth gun-kala vaibhwadi ko saath liye hue prem ke rang mein rangi hui lalit ladli-lal yugal ke shri charnon ka nitya-nirantar sevan karti rahti hai ॥. 40 ॥ maya evam kal ke prabhav se rahit shri Vrindavan dham mein nitya kishor ladili-lal yugal apni nitya sakhi Lalita, vishakhadi dwara akhanda rup se sevit hain ॥. 41 ॥ brahmaji ne kaha-marmagya rasikon ka nirdharan hai ki vraj mandal mein rasik shekhar shrikrishna ka sampanna hone wala leela-charit aishwarya-madhury evam vivid bhavon ki sthiti ke anusaar, bahut prakaar ka hai. In sab leela-charitra ka sar sarvasv hai-yugal kishor ka nitya vihar