prem nem vyorau kiyau, jo ayau ur mahin |
yate nyare duhunni ke, lachchhan janain jahin || 6 ||
प्रेम नेम व्योरौ कियौ, जो आयौ उर माहिं।
याते न्यारे दुहुँनि के, लच्छन जानैं जाहिं॥६॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)
prastavna doha prem-paribhasha doha priti ke gauravmay swaroop ki paribhasha karte hue shri dhruvdas ji kahte hain ki rasik shekhar shri Radhavallabh lal ke atirikt sahaj rasamyi priti ke dharm aur swaroop ko samjhne mein anya koi devadik evam Bhagwad avatar bhi samarth nahi hai, isiliye to sarwaradhya sarvopri paraatpar tattwa hokar bhi ve apne swaroop-gat samasth dharmo ka tyag kiva vismaran karke apni pran-Priya nitya nikrinjeshwari swamini shri Radha ki raspurna priti mein swayam rang gaye hain ॥. 1 ॥ in akhil lok-chudamani ko Priya-prem ke ras ne sarwat mohit kar rakha hai. Tabhi to priyatam shri Radhavallabh lal, rup ke anant bhandar hone par bhi Priya shri ragha ki mukhachchhavi ka aasakt bhav se anavrat avlokan karte rahte hain ॥. 2 ॥ chahta hoon, jisne anya ki to baat hi kya, sarwajit-Ajit shri Radhavallabh lal ko purntya vashwarti bana rakha hai. Wah prem gun-rahit , kamna-rahit hone se shuddh hai , bhagwat swaroop hai , anupam hai , adbhut hai evam sarvopri rasrup jo anadi aur anant hai arthat jiska na aadi hai na anta hai , jo sadaiv ek rasrup bana rahta hai, jismen pratiphal ruchi ki tarangam badhti hi rahti hain, ghatti nahi, jo sahaj anupam sukho ka pradayak hai ॥. 4 ॥ wah prem jo nitya nutan hai , sukomal hai, atishay madhur hai aur jo suhag ke anand rang se bheega hua hai athva bhigo dene wala hai, jo ahaituk evam abhanga hai arthat jis shuddh prem ki utpatti aur bhog mein kisi nimit ka sthan nahi hai. Satya prem wah hai jo ek bar premi ke hriday mein udit hokar ghatta nahi, tutta nahi. Aisa prem hi vastut: prem hai ॥. 5 ॥ shri dhruvdas ji kahte hain ki ab main prem ki yathmati paribhasha karke apne hriday mein utpann hue vicharon ke madhyam se prem aur nem ka vivran prastut karna chahta hoon , jisse donon ke prithak-prithak lakshan ka bhed samjha ja sakga ki prem aur nem mein kya bhed hai ?