॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Bayalis Leela — chhnd 13.102

bhajan-shat

bahut gayi thori rahi, sou biti jai |
'hit dhruv” begi bichari kai, basi Vrindavan aai |
basi Vrindavan aai, laj taji kai abhimanai |
prem leen hvai din, apkaun trin sam janai ||
sakal bhajan kau sar, sar tu kari ras-reeti |
re man dekhi bichari, rahi kachu ik bahu biti || 102 ||
बहुत गई थोरी रही, सोऊ बीती जाइ।
'हित ध्रुव” बेगि बिचारि कै, बसि वृंदावन आइ।
बसि वृंदावन आइ, लाज तजि कै अभिमानै।
प्रेम लीन ह्वै दीन, आपकौं तृन सम जानै॥
सकल भजन कौ सार, सार तू करि रस-रीती।
रे मन देखि बिचारि, रही कछु इक बहु बीती॥१०२॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)

jeevan ka bahut samay to vyatit ho chuka hai aur shesh jo bacha hai, wah bhi nikla ja raha hai, ataev aap vivek-vicharpurwak shighr hi Vrindavan mein akar nivas karen. Shri Vrindavan ka vas karke lok-lajja evam abhiman ka tyag kar den. Swayam ko trinwat‌ tuchch samjhte hue dinata purvak yugal ke prem mein leen ho jayam. Samasth bhajan-vidhaon mein shreshth Vrindavan ke bhajan ki riti mein apne aapko samarpit kar den