॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Bayalis Leela — chhnd 13.114

bhajan-shat

yah ras tau ati amal hai, rahau bicharat nitta |
kahat-sunat 'dhruv' bhajan-sat, dridta hvai hai chitt || 114 ||
यह रस तौ अति अमल है, रहौ बिचारत नित्त।
कहत-सुनत 'ध्रुव' भजन-सत, दृढ़ता ह्वै है चित्त॥११४॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — pustak ki tika, scan se; chhoti trutiyan sambhav)

“bhajan shat' prakaran ke vistarpurwak varnan ka aashay hai ki ras-sar shuddh bhajan arthat‌ vrindavneey rasopasna nitya-vihar hriday mein prakt ho, kyonki bhajan hi prem-prapti ka sopan hai ॥ 113. Granth ka upsanhar karte hue pun: shri dhruvdas ji kahte hain ki yah premamyi upasna tatsukhamyi evam purntya nishkam hai. Upasak nirantar iska chintan karta rahe. Is “bhajan shat” granth ka kathan-shravan karne se chitt mein bhajan ke prati dridh astha ka uday hota hai