Shri Radha Sudha Nidhi — shlok 126
kalindi kulkalpadrumtal nilay prollasatkelikanda
vrindatavyan sadaiv prakattar raho vallavi bhav bhavya |
bhaktanan hritsaroje madhur rassudhasyandi padarwinda
sandrananda kritirnah sphurtu nav nav premlakshmeermanda || 126 ||
कालिन्दी कूलकल्पद्रुमतल निलय प्रोल्लसत्केलिकन्दा
वृन्दाटव्यां सदैव प्रकटतर रहो वल्लवी भाव भव्या।
भक्तानां हृत्सरोजे मधुर रससुधास्यंदि पादारविन्दा
सान्द्रानन्दा कृतिर्नः स्फुरतु नव नव प्रेमलक्ष्मीरमन्दा ॥126॥
arth / vyakhya
Shri yamuna ji ke tat par kalpavriksha ke niche sthit nivas sthal mein shreshth rup se ullasit ho rahi kreedaon ki mul Rupa, shrivindavan mein sada hi prakt rahne wale ekanta gopiyon (Lalita vishakha aadi) ke bhav se (prem se) gaurwanwit bani hui, bhakton ke hriday kamal mein madhur rasamrit ko stravit karne wale charan-kamlo wali, saghan anand ki murti (aisi) kabhi mand na padne wali nitya naveen premlakshmi (prem ki shobha Shri Radha) hamare (man mein) prakashit hon.