Shri Radha Sudha Nidhi — shlok 149
twayi shyame nitye pranyini vidagdhe rasnidhau
priye bhuyobhuy sudridhamtirago bhavtu me |
iti preshthenokta raman mam chitte tav vacho
vadanteeti smera mam mansi Radha vilastu || 149 ||
त्वयि श्यामे नित्ये प्रणयिनि विदग्धे रसनिधौ
प्रिये भूयोभूयः सुदृढ़मतिरागो भवतु मे।
इति प्रेष्ठेनोक्ता रमण मम चित्ते तव वचो
वदन्तीति स्मेरा मम मनसि राधा विलसतु ॥149॥
arth / vyakhya
‘he Shri shyame ! (he nav yuvti) he nitya anuragini ! He samasth kala kushle! He ras ki nidhi swaroop priye! Aap mein mera barbar dridh anurag ho’ is prakaar priyatam ke kahne par ‘he raman! Aap ki jaisi baat mere man mein bhi hai’ is prakaar mand hasy yukt kahti hui Shri Radha mere man mein vilas karen.
note- is shlok mein shri-shyam-sundar ne Shri Radha ke prati jin teen sambodhnon – he shyame, he pranyini, he vidagdhe ka prayog kiya hai, param chatur Shri Radha ne yah kahkar ki ‘he raman! Yahi baat mere man mein bhi hai’ un sambodhnon ka hi prayog saptami ke ek vachan mein apne priyatam ke prati kar diya hai. Iska arth hota hai ki ‘aap Shyam mein, nitya pranyi mein, vidagdha mein aur rasnidhi mein mera sudridh anurag ho. ’ shlok mein kahe gaye Shri Radha ke mand hasy ka karan yahi hai.