Shri Radha Sudha Nidhi — shlok 235
dure srishtyadivartta na kalayti manannardadeenswabhakta-
nchhreedamadyaih suhridbhirna milti harti sneh vriddhin swapitroh |
kintu premaikseeman madhur rassudhasindhu sarairgadhan
Shri radhamev jananmadhuptirnisham kunjweetheemupaste || 235 ||
दूरे सृष्ट्यादिवार्त्ता न कलयति मनाङ्नारदादीन्स्वभक्ता-
ञ्छ्रीदामाद्यैः सुहृद्भिर्न मिलति हरति स्नेह वृद्धिं स्वपित्रोः।
किन्तु प्रेमैकसीमां मधुर रससुधासिन्धु सारैरगाधां
श्रीराधामेव जानन्मधुपतिरनिशं कुंजवीथीमुपास्ते ॥235॥
arth / vyakhya
srishti-rachna aadi ki baat to dur rahi, apne narad aadi bhakton ko bhi nahi pahichante, Shri dama aadi mitron se nahi milte tatha apne mata-pita ke sneh ko bhi badhava nahi dete, kintu prem ki parmavdhi swaroopa tatha madhur ras rupi amrit-sindhu ke sar ki agadh aashray ekmatra Shri Radha ko hi jante hue madhupati (shri-shyam-sundar) nirantar kunj galiyon ki upasna karte rahte hain.