Shri Radha Sudha Nidhi — shlok 48
veenan kare madhumtin madhur swaranta
madhay nagar shiromani bhavleelam |
gayantyaho dinamparmivashruvarshai-
rduhkhannayantyahah sa hridi mestu Radha || 48 ||
वीणां करे मधुमतीं मधुर स्वरांता
माधाय नागर शिरोमणि भावलीलाम्।
गायन्त्यहो दिनमपारमिवाश्रुवर्षै-
र्दुःखान्नयन्त्यहह सा हृदि मेऽस्तु राधा ॥48॥
arth / vyakhya
aho! Madhur swaron wali us madhumti naam ki Veena ko hath mein lekar nagar shiromani shri-shyam-sundar ki bhav purn lilaon ka gaan karti hui (evam) ahah, apaar jaise (kisi prakaar na katne wale) din ko anuvarsha ke saath dukh purvak vyatit karti hui Shri Radha mere hriday mein (sphurrit) hon.
note – (is shlok mein Shri Radha ki teevr virah sthiti ka varnan hai. Yah prasiddh hai ki Shri hitacharya Shri shyamashyam ke nitya sanyog ke upasak hain, phir is shlok ki rachna mein unka kya prayojan ho sakta hai?
Shri radhasudhanidhi ke samgr adhyan se pratit hota hai ki ismen Shri hitacharya ne apne bhav ke anukul hi Shri Radha ke swaroop ka chitran kiya hai. Kintu Shri Radha ke charnon mein Shri hitamhaprabhu ki aisi pragadh rati hai ki vibhinn rasik mahanubhavon dwara anumodit Shri Radha ke vibhinn bhav-swaroop unke hriday mein samay-samay par sanchrit hote rahte hain. Isko ham Shri hitacharya ke hriday mein rahi hui Shri Radha naam ke prati anannya nishtha ka hi parinaam mante hain anytha ‘vichchhedabhas manadhah nimishto’ (shlok sankhya 173) aadi nitya sanyog ka kathan karne wale shloko ki sangati baithana sambhav nahi hoga aur Shrimad radhasudhanidhi mein is prakaar ke nitya sanyog ka varnan karne wale shlok hi sankhya mein bahut adhik hain. )