॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Radha Sudha Nidhi — shlok 55

nijapraneshwarya yadpi dayneeyeymiti maa
muhushchumbatyalingati suratmadhwya madayti |
vichitran snehardhin rachayti tathapyad bhut gate-
stavaiv Shri Radhe pad ras vilase mam man || 55 ||
निजप्राणेश्वर्या यदपि दयनीयेयमिति मां
मुहुश्चुम्बत्यालिङ्गति सुरतमाध्व्या मदयति।
विचित्रां स्नेहर्धिं रचयति तथाप्यद् भुत गते-
स्तवैव श्रीराधे पद रस विलासे मम मनः ॥55॥

arth / vyakhya

‘yah (kinkri) dasi meri praneshwari ki daya patr hai’ yah sochkar shri-shyam-sundar bar-bar mujhko chumban, aalingan aur surat ras madhuri se unmatt bana dete hain. Yadyapi ve vichitra prakaar se sneh vridhi karte hain, phir bhi he Shri Radhe! Adbhut prabhav wale aapke hi charan-kamlo ke rasmay vilas mein mera man sanlagna hai.

note (Shri nabhaji ne Shri hitacharya ko ‘apne hriday mein Shri Radha charnon ki pradhanata rakhkar atyant sudridh upasna karne wale’ kaha hai- ‘Shri radhachran pradhan hriday ati sudridh upasi’. Apni us adbhut nishtha ka prakashan ve is shlok mein adbhut dhang se kar rahe hain. Jin shri-shyam-sundar ke ek kripa kataksh ke liye vraj-gopikayen lalayit rahti hain aur sadaiv prapt nahi kar patin, wahi shri-shyam-sundar apni praneshwari Shri Radha ka nata mankar shrihit sakhi (Shri hitacharya ke sakhi swaroop ka naam) ko shrringarik prem ki madira se matt banana chah rahe hain aur ve yah kah rahi hain ki ‘shri-shyam-sundar ki is prakaar ki kripa ayachit prapt hone par bhi mera man to apni swamini ke Shri charnon ke ras vilas mein hi ram raha hai!’

ab rahi shri-shyam-sundar ki baat, so Shri hitacharya ki ras paddhti mein unka bhi Shri Radha ke prati anannya prem hai. To phir unhone is prakaar ki cheshta sahachari ke prati kyon ki? Iska karan yah hai ki rasopasna ke kshetra mein ve keval ‘shringar ras sarvasv hain’- murtiman shringar ras hain. Is kshetra mein ve jab kisi par prasann hote hain to usko shuddhatishuddha madhur ras ka anubhav karate hain. Vraj-sundariyon ne unke is rup se priti ki aur shri-shyam-sundar ne unko apne swaroop bhut ras ki anubhuti karai thi.

(uparyukta shlok mein ve sahachari ke Shri Radha prem par reejhe hain aur swabhavat unke dwara sahachari ko unke swaroop ka dan mil raha hai. Ismen shri-shyam-sundar ki ananyata mein koi antar nahi aata kyonki ve sahachari ko sahachari hi samjh rahe hain, apni preysi nahi man rahe hain. Kintu lal rang jis kisi vastu ke samparka mein avega, usko sahaj rup se lal hi banavega; sahachari is lali ko sweekar karne ko tayyar nahi hain aur apne rang par kayam rahna chahti hain- wah tribhuvan mohan ke atma dan ko bhi angeekar karne ko tayyar nahi hain. Vastav mein, mahan nishthayen mahan tyagon ke upar hi tiki hoti hain aur apni nishtha ki raksha ke liye sahachari ka yah tyag sachmuch bada adbhut hai. )