ab avatar bhed tin kahe | sakal upasak tin man rahe ||
kahe bhakti sadhan sabai ||
Mathura nitya Krishna kau vas | nishi-din Shyam na chhandat paas |
tasu sakal leela kahi ||
kahi sabni ki ekai riti | shravan-kathan sumiran parteeti |
beeti kal sab jaiyau ||
upajyau sabni sudridh vishwas | jas varnaun Harivansh vilas
Shri harivanshhi gai haun ||
अब अवतार भेद तिन कहे। सकल उपासक तिन मन रहे॥
कहे भक्ति साधन सबै॥
मथुरा नित्य कृष्ण कौ वास। निशि-दिन श्याम न छाँड़त पास।
तासु सकल लीला कही॥
कही सबनि की एकै रीति। श्रवन-कथन सुमिरन परतीति।
बीति काल सब जाइयौ॥
उपज्यौ सबनि सुदृढ़ विश्वास। जस वरनौं हरिवंश विलास
श्रीहरिवंशहि गाइ हौं॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)
(pehle samannya bhagwaddhakti ka updesh karke) ab (vishesh rup se) bhagavdavtaron ka bhed un (avatar upasako ) ke prati kaha (jo jin abtaron ke prati priti evam nishthavan the. ) us updesh ko sunkar un upasako ne apni-apni isht-nishtha dridh ki. Inhe bhi bhakti ke (ve hi) sadhan bataye, (jo navdha-bhakti ke kram mein hain. ) (samasth avtaron ke bij shrikrishna-avatar ka nirupan karte hue aapne bataya ki) shrikrishna nitya-nirantar madhura mein nivas karte hain. Ye madhura-vasi shyamsundar Mathura ka sameepya (nivas) kabhi chhodte hi nahi. Inki samasth lilaon ka bhi varnan aapne 'kiya. (upasna-sadhna kram mein bhagavdavtar, bhagwattatwa, evam Mathura vasi shrikrishna) sabhi bhakton ke liye vishwas purvak gun-leela shravan, kathan, smaran aadi yahi sadhan ek hi riti se aapne 'bataya. (aur yah bhi kaha ki) is prakaar navdha bhakti karte-karte hi (jeevan ka) sara samay vyatit hona chahiye. Shri sebak ji kahte hain ki aapki in baton par sabka sudridh vishwas utpann ho gaya, main aise Harivansh Chandra ka yash vilas varnan aur gun-gaan karta ham. Aur karunga. Swami Srihitdas ji maharaj 89
tippni: samasth avtaron ke nidhan (bij) shrikrishna hain. Unka Mathura vasi swaroop anya avtaro se pare aur haan hai kintu unki prapti mein bhi unhin sadhno ka upyog hai, jo anya Bhagwad rupon aur avtaron mein hai arthat ye sab keval usi navdha bhakti se hi siddh-prapt hone wale swaroop hain. Ab (madhura vasi shrikrishna se pare) braj-bihari Shri nandanandan ke swaroop, prabhav leela ka lakshya karate huye kahte hain- mul- ab ju kahi sab braj ki riti, jaisi sabni nand-sut priti. Kirti sakal jag vistari ॥ 'bal-charit prem ki niv, 'kahat sunat sab sukh vhi sanva jeevan bja-vasinu saphlam ॥ braj ki riti su agam apaar, 'chistari kahi sakal sansara